Latest 155+ Waqt Shayari in Hindi 2025

Waqt Shayari हमारे जीवन के हर पल को बयान करने का एक खूबसूरत तरीका है। समय के साथ बदलते रिश्ते, खुशियां और गम, सब कुछ Waqt Shayari में छुपे होते हैं। यहां आपको मिलेंगी दिल को छूने वाली शायरियां जो आपके हर जज़्बात को समझती हैं।

समय कभी किसी का इंतज़ार नहीं करता, लेकिन Waqt Shayari के माध्यम से हम अपने अनुभवों को हमेशा के लिए संजो सकते हैं। आइए पढ़ते हैं कुछ बेहतरीन शायरियां।

Waqt Shayari 

Waqt Shayari 
Waqt Shayari 

कुछ इस तरह से सौदा किया मुझसे मेरे वक़्त ने
तजुर्बा देकर वो मुझसे मेरी नादानियाँ ले गया

Kuch is tarah se sauda kiya mujhse mere waqt ne,
Tajurba dekar wo mujhse meri nadaniyan le gaya.

Waqt Shayari 
Waqt Shayari 

उड़ जायेंगे तस्वीरों से रंगो की तरह हम
वक़्त की टहनी पर हैं परिंदो की तरह हम

Ud jaayenge tasveeron se, rango ki tarah hum,
Waqt ki tahni par hain, parindo ki tarah hum.

Waqt Shayari 
Waqt Shayari 

औरों की मर्जी से कभी जिया नहीं करते
हम वक्त पर अफसोस किया नहीं करते !!

Auron ki marzi se kabhi jiya nahi karte,
Hum waqt par afsos kiya nahi karte!!

Waqt Shayari 
Waqt Shayari 

वक्त दिखाई नहीं देता है,
पर बहुत कुछ दिखा जाता है !

Waqt dikhai nahi deta hai,
Par bahut kuch dikha jaata hai!

Waqt Shayari 
Waqt Shayari 

डर नहीं लगता मुझे इस रात के अंधेरे से
ये तो वक़्त की पाबंद है, ढल ही जाएगी !!

Dar nahi lagta mujhe is raat ke andhere se,
Ye to waqt ki paband hai, dhal hi jaayegi!!

Waqt Shayari 
Waqt Shayari 

वक्त रुला देता है, वक्त हंसा देता है
वक्त की यारी में इंसान सब कुछ भुला देता है

Waqt rula deta hai, waqt hansa deta hai,
Waqt ki yaari mein insaan sab kuch bhula deta hai.

Waqt Shayari 
Waqt Shayari 

सदा ऐश दौराँ दिखाता नहीं
गया वक़्त फिर हाथ आता नहीं

Sada aish dauraan dikhata nahi,
Gaya waqt phir haath aata nahi.

Waqt Shayari 
Waqt Shayari 

वक़्त रहता नहीं कहीं टिक कर
आदत इसकी भी आदमी सी है

Waqt rehta nahi kahin tik kar,
Aadat iski bhi aadmi si hai.

Waqt Shayari 
Waqt Shayari 

वक़्त बदलता है ज़िंदगी के साथ,
ज़िंदगी बदलती है वक़्त के साथ।
वक़्त नहीं बदलता अपनों के साथ,
बस अपने ही बदल जाते हैं वक़्त के साथ।

Waqt badalta hai zindagi ke saath,
Zindagi badalti hai waqt ke saath.
Waqt nahi badalta apno ke saath,
Bas apne hi badal jaate hain waqt ke saath.

Rishte Waqt Shayari

Rishte Waqt Shayari
Rishte Waqt Shayari

वक़्त का बोझ तब बढ़ जाता है,
जब इंतज़ार किसी का सिद्दत से होता है !!

Waqt ka bojh tab badh jaata hai,
Jab intezaar kisi ka siddat se hota hai!!

बख्शे हम भी न गए
बख्शे तुम भी न जाओगे
वक्त जानता है
हर चेहरे को बेनकाब करना !!

Bakhshhe hum bhi na gaye,
Bakhshhe tum bhi na jaaoge,
Waqt jaanta hai,
Har chehre ko benaqaab karna!!

सच्चे रिश्ते कुछ नहीं माँगते,
सिवाए वक्त और इज्जत के।

Sacche rishte kuch nahi maangte,
Sivaaye waqt aur izzat ke.

जनाब मालूम नहीं था की ऐसा भी एक वक़्त आएगा,
इन बेवक़्त मौसमों की तरह तू भी क्षणभर में यू बदल जायेगा।

Janaab maaloom nahi tha ki aisa bhi ek waqt aayega,
In bewakt mausamon ki tarah tu bhi kshanbhar mein yu badal jaayega.

वक़्त बदला हालत बदले
जो थे हमारे हमदम उनके नज़रियात बदले

Waqt badla haalat badle,
Jo the humare humdum unke nazariyaat badle.

Waqt Kismat Sad Shayari

Waqt Kismat Sad Shayari
Waqt Kismat Sad Shayari

अदब से की थी शुरुआत जिसने…
बिछड़ते वक्त उसने ज़लील बहुत किया…

Adab se ki thi shuruaat jisne…
Bichhadte waqt usne zaleel bahut kiya…

तुझे चाहने वाले कम न होंगे,
वक्त के साथ शायद हम न होंगे,
चाहे किसी को कितना भी प्यार देना,
लेकिन तेरी यादों के हकदार सिर्फ हम ही होंगे.

Tujhe chahne wale kam na honge,
Waqt ke saath shayad hum na honge,
Chahe kisi ko kitna bhi pyaar dena,
Lekin teri yaadon ke haqdar sirf hum hi honge.

वक्त नहीं लगता दिल को दिल तक आने में
पर सादियां लग जाती है एक रिश्ता भूलने में!

Waqt nahi lagta dil ko dil tak aane mein,
Par saadiyan lag jaati hain ek rishta bhoolne mein!

जैसे तुमने वक़्त को हाथ में रोका हो
सच तो ये है तुम आँखों का धोख़ा हो !!

Jaise tumne waqt ko haath mein roka ho,
Sach to ye hai tum aankhon ka dhokha ho!!

वक्त की धुंध में छुप जाते हैं ताल्लुक
बहुत दिनों तक किसी की आँख से ओझल ना रहिये।।

Waqt ki dhundh mein chhup jaate hain taalluq,
Bahut dino tak kisi ki aankh se ojhal na rahiye.

Waqt Shayari in Hindi

Waqt Shayari in Hindi
Waqt Shayari in Hindi

उस ने इस तरह से बदला है रवय्या अपना
पूछना पड़ता है हर वक़्त, तुम्हीं हो ना दोस्त?

Usne is tarah se badla hai ravayya apna,
Poochna padta hai har waqt, tumhi ho na dost?

समय से बड़ा बदलाव
इस संसार में कोई नहीं है!

Samay se bada badlaav,
Is sansaar mein koi nahi hai! 

वजह की तलाश में वक्त ना गवाया करो
वेवजह, बेपरवाह, बेझिझक बस मुस्कुराया करो

Wajah ki talaash mein waqt na gawaaya karo,
Bewajah, beparwaah, bejhijhak bas muskuraya karo.

जिंदा दिल रहिए जनाब, ये चेहरे पे उदासी कैसी
वक्त तो बीत ही रहा है, उम्र की ऐसी की तैसी

Zinda dil rahiye janaab, ye chehre pe udaasi kaisi,
Waqt to beet hi raha hai, umr ki aisi ki taisi.

वक्त ने किया क्या हसीं सितम
तुम रहे न तुम, हम रहे न हम

Waqt ne kiya kya haseen sitam,
Tum rahe na tum, hum rahe na hum.

Waqt Khamoshi Shayari

Waqt Khamoshi Shayari
Waqt Khamoshi Shayari

वक़्त हर ज़ख़्म का
मरहम तो नहीं बन सकता
दर्द कुछ होते हैं
ता-उम्र रुलाने वाले !!

Waqt har zakhm ka
Marham to nahi ban sakta,
Dard kuch hote hain
Ta-umr rulaane wale!!

मैं इस वक्त कहा मिलूंगा
मुझे ख़ुद से एक ज़रूरी बात करनी है।

Main is waqt kahan milunga,
Mujhe khud se ek zaruri baat karni hai.

अपने ख़िलाफ बातें,
मैं अक्सर खामोशी से सुनता हूँ
जवाब देने का हक,
मैने वक्त को दे रखा है

Apne khilaaf baatein,
Main aksar khamoshi se sunta hoon,
Jawaab dene ka haq,
Maine waqt ko de rakha hai.

एक दिन मेरे साथ बैठ कर वक़्त भी खूब रोया
बोला बन्दा तू ठीक है बस मैं ही ख़राब चल रहा हूँ !!

Ek din mere saath baith kar waqt bhi khoob roya,
Bola banda tu theek hai bas main hi kharaab chal raha hoon!!

अगर फ़ुर्सत मिले पानी की तहरीरों को पढ़ लेना
हर इक दरिया हज़ारों साल का अफ़्साना लिखता है

Agar fursat mile paani ki tahreeron ko padh lena,
Har ik darya hazaron saal ka afsaana likhta hai.

Bura Waqt Shayari

Bura Waqt Shayari
Bura Waqt Shayari

वक्त को बुरा ना कहो,
लोगो की असलियत यही दिखाता है।

Waqt ko bura na kaho,
Logo ki asaliyat yahi dikhata hai.

वक्त तू कितना भी सता ले हमे लेकिन याद रख,
किसी मोड़ पर तुझे भी बदलने पर मजबूर कर देंगे…

Waqt, tu kitna bhi sata le humein, lekin yaad rakh,
Kisi mod par tujhe bhi badalne par majboor kar denge…

ए वक्त जरा संभल के चल कुछ बुरे,
लोगों का कहना है कि तू सबसे बुरा है।

Ae waqt, zara sambhal ke chal kuch bure,
Logon ka kehna hai ki tu sabse bura hai.

आँखोँ के परदे भी नम हो गएबातोँ के सिलसिले भी कम हो गए
पता नही गलती किसकी हैवक्त बुरा है या बुरे हम हो गए…

Aankhon ke parde bhi nam ho gaye,
Baaton ke silsile bhi kam ho gaye.
Pata nahi galti kiski hai,
Waqt bura hai ya bure hum ho gaye…

बुरे वक्त में भी जो तुमसे जुदा ना हो,
गौर से देखना कहीं खुदा ना हो..!!

Zindagi Waqt Shayari

Zindagi Waqt Shayari
Zindagi Waqt Shayari

वक़्त अच्छा भी आएगा ‘नासिर’
ग़म न कर ज़िंदगी पड़ी है अभी

Waqt accha bhi aayega ‘Nasir’,
Gham na kar,
Zindagi padi hai abhi.

इतने दर्द के बाद भी मुस्कुरा रहा हूँ ।
ऐ जिन्दगी देख तुझे कैसे हरा रहा हूँ।।

Itne dard ke baad bhi muskaraa raha hoon,
Ae zindagi, dekh tujhe kaise hara raha hoon!!

अजीब तरह से गुजर गयी मेरी भी जिंदगी
सोचा कुछ
किया कुछ हुआ कुछ मिला कुछ

Ajeeb tarah se guzar gayi meri bhi zindagi,
Socha kuch, kiya kuch, hua kuch, mila kuch.

वक्त जैसा भी हो बिताता जरुर है
आदमी अगर ठान ले तो वक्त से भी जीतता जरुर है!

Waqt jaisa bhi ho, bitaata zarur hai,
Aadmi agar thaan le to waqt se bhi jeet-ta zarur hai!

इतनी जल्दी हार मत मान जिंदगी से
आज वक़्त बुरा है तो कल अच्छा भी होगा !!

Itni jaldi haar mat maan zindagi se,
Aaj waqt bura hai to kal accha bhi hoga!!

Waqt Shayari in English

Waqt Shayari in English
Waqt Shayari in English

Waqt bura ho tab mehnat karna
Aur achha ho tab madad karna…!

Mujhe sabr karna
Aur tumhe kadr karna
Ab waqt hi sikhaayega..!!

Waqt ki yaari to har koi kar leta hai,
Maza to tab hai jab,
Waqt badle aur yaar na badle.

Waqt aur insaan,
Kab badal jaaye pata hi nahi chalta.

Kabhi khilaaf to kabhi saath hota hai
Insaan ki barbaadi mein waqt ka bhi haath hota hai

Jo waqt ke saath nahi badalta
Waqt use badal deta hai

Waqt Kismat Naseeb Shayari

Waqt Kismat Naseeb Shayari
Waqt Kismat Naseeb Shayari

जिनके हाथों में हो वक़्त की कलम
अपनी क़िस्मत
वो खुद ही लिखा करते हैं !!

Jinke haathon mein ho waqt ki kalam,
Apni qismat,
Wo khud hi likha karte hain!!

ये न सोचो कल क्या हो
कौन कहे इस पल क्या हो

Ye na socho kal kya ho,
Kaun kahe is pal kya ho.

हर लम्हा एक कहानी है सुनने वाला चाहिए
वक्त का तराज़ू बस सम्हालने वाला चाहिए..

Har lamha ek kahani hai, sunne wala chahiye,
Waqt ka tarazu bas sambhalne wala chahiye…

कभी वक्त मिला तो जुल्फें तेरी सुलझा दूंगा,
आज उलझा हूं जरा वक्त को सुलझाने में।

Kabhi waqt mila to zulfen teri suljha dunga,
Aaj uljha hoon zara waqt ko suljhane mein.

दौर भी बदलेगा और लब भी मुस्कुराएँगे
वक्त के फ़रिश्ते जब खुशियाँ लेकर आयेंगे।

Daur bhi badlega aur lab bhi muskurayenge,
Waqt ke farishte jab khushiyan lekar aayenge.

Waqt Waqt Ki Baat Hai Shayari

Waqt Waqt Ki Baat Hai Shayari
Waqt Waqt Ki Baat Hai Shayari

वक्त पर आया करता था जवाब उनका
ये भी एक वक्त की बात हुए करती थी

Waqt par aaya karta tha jawaab unka,
Ye bhi ek waqt ki baat hui karti thi.

तलातुम आरज़ू में है
न तूफ़ाँ जुस्तुजू में है
जवानी का गुज़र जाना है
दरिया का उतर जाना

Talatum aarzu mein hai,
Na toofan justuju mein hai,
Jawani ka guzar jana hai,
Dariya ka utar jana.

वो वक्त सी थी जो गुजर गई,
और मैं यादों सा था जो ठहर गया !

Wo waqt si thi jo guzar gayi,
Aur main yaadon sa tha jo thahar gaya!

वक़्त और किश्मत पर कभी घमंड ना करो
सुबह उनकी भी होती है जिन्हे कोई याद नहीं करता

Waqt aur kismat par kabhi ghamand na karo,
Subah unki bhi hoti hai jinhhe koi yaad nahi karta.

वक़्त पड़ा तो हमसे अपने ही मुँह मोड़ गए
इस जहां में हम कितना अकेले हो गए

Waqt pada to humse apne hi munh mod gaye,
Is jahan mein hum kitna akela ho gaye.

Bure Waqt Ki Shayari

Bure Waqt Ki Shayari
Bure Waqt Ki Shayari

तुम्हारा किया तुम्हे ही बतलाता है
समय आइना जरूर दिखलाता है!

Tumhara kiya tumhe hi batlata hai,
Samay aaina zarur dikhlaata hai!

कौन अपना कौन पराया
बुरे वक्त ने सब बताया

Kaun apna, kaun paraaya,
Bure waqt ne sab bataya.

वक़्त बदलने से उतनी तकलीफ नहीं होती
जितनी किसी अपने के बदल जाने से होती है!

Waqt badalne se utni takleef nahi hoti,
Jitni kisi apne ke badal jaane se hoti hai!

बुरा वक्त तो सबका आता हैं,
कोई बिखर जाता हैं कोई निखर जाता हैं…

Bura waqt to sabka aata hai,
Koi bikhar jaata hai, koi nikhar jaata hai…

Bure Waqt Ki Shayari
बुरा वक्त भी क्या कमाल का होता है साहेब
जी जी करने वाले भी
तू तू करने लगते हैं !!

Bure Waqt Ki Shayari:
Bura waqt bhi kya kamaal ka hota hai saheb,
Ji ji karne wale bhi,Tu tu karne lagte hain!!

Emotional Waqt Time Shayari

Emotional Waqt Time Shayari
Emotional Waqt Time Shayari

वक्त का खास होना जरूरी नहीं
खास लोगों के लिए वक्त होना जरूरी है !!

Waqt ka khaas hona zaruri nahi,
Khaas logon ke liye,Waqt hona zaruri hai!!

अपना पन तो सब दिखाते है
पर कौन अपना है
ये वक्त ही बताता है

Apna pan to sab dikhate hain,
Par kaun apna hai,
Ye waqt hi batata hai.

मेरे महबूब की प्यारी बातें,
मेरे हर पल को हसीन बनाती है,
इंतजार भी करता हूं उसका,
उस वक्त को भी सुंदर बनाती है.

Mere mehboob ki pyari baatein,
Mere har pal ko haseen banati hain,
Intezaar bhi karta hoon uska,
Us waqt ko bhi sundar banati hain.

किताबों की अहमियत अपनी जगह है जनाब
सबक वही याद रहता है जो वक्त और लोग सिखाते है !!

Kitaabon ki ahmiyat apni jagah hai janaab,
Sabak wahi yaad rehta hai jo waqt aur log sikhate hain!! 

एक अच्छे वक्त का ही तो
हर किसी को इंतजार रहता है
पर ये वक्त है कि हर
वक्त बदलता ही रहता है.!!

Ek achhe waqt ka hi to,
Har kisi ko intezaar rehta hai,
Par ye waqt hai ki,
Har waqt badalta hi rehta hai!!

Also Read : Dhoka Shayari

Conclusion

Waqt Shayari हमारे जीवन का एक ऐसा आईना है जो हर भावना को खूबसूरती से दर्शाती है। चाहे वह खुशी का पल हो, या बुरा वक़्त जो हमें मजबूत बनाता है, हर अनुभव का एक अलग रंग होता है। वक़्त के साथ रिश्ते बदलते हैं, हमारी किस्मत आकार लेती है और जिंदगी के नए अध्याय खुलते हैं। उस हर पल की कहानी Waqt Shayari में समाई होती है, जो हमारे दिलों को छू जाती है और हमें आगे बढ़ने की प्रेरणा देती है।

यदि यह शायरी आपके दिल को छू गई हो, तो इसे अपने दोस्तों और परिवार के साथ जरूर साझा करें। अपने अनुभव और पसंदीदा शायरी नीचे कमेंट में बताएं। समय के हर पहलू को समझने के लिए हमारे साथ जुड़े रहें और लगातार नई Waqt Shayari पढ़ते रहें।

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top